Type Here to Get Search Results !

God and Me 1

 Aaj milne shiva ko mandhir gaya,

Bola shankar kya krne hai aaya.

Kaha maine age baat na thi hui hamari,

Kya krta dil main thi reez bahut piyari.

Tumse chaahoon raaz is dil ka khoolna,

Bhare jamane me ek ummeed thi tumari.

Bhole adhinaath k sun raha teri fariyaad,

Tu karam kiye ja, chood aason ki saugaat,

Jo chaahe vo tu kr, uth kada ho baar baar fisal kr,

Na choodna kabhi aas, kion ke har dam main hoon tere saath.

Ye sunte hi chehre pr muskaan aa gye,

Jaise ghane andere me, raoushni shaa gye.

Saathi aanokha ek aur mil gaya mujhe,

Aaisi shiva se aaj ye jind saugat pa gye.

Aage bhole shankar, agr tera payar sach hoga,

Laut aayegi vo, jo itbaare use tuj pr hoga.

Na hota hai payar viney jissmon se,

Jo rooh se kro payar to vo tera hi hoga. 

Itne me maine poocha,

kya kron ab jo dil ko shaant kr skon,

jo sookha hai gala kaise neer bhar sakon,

koi to raah dikha aie shiva,

chalta andere raahon ko aabad kr sakon.

Bhole shankar to aaj sachh bhool de,

Kya hain tere dil me ye drvaja khool de.

Dikha sach saare zamane ko apna,

Aur khudi ku sach ke daaman me dool de.

Kia parnaam, aur uth khada hua,

Viney main aaj, se tera daas hua.

Hona hr pal sang mere malik,

Kron tuji ko yaad, dukh chahe sukh hua.

Tathastu kehte hi, shiva alop ho gye,

Saamne khade kahde moorti me vilop ho gye.

Bhole main tere andar hi hon baitha,

Jab bulao to pao shakshat savroop ho gye.

Aaj shiva se hue baat itni hi,

Kal dekhen ge kon milta hai sunsaan rahon pr,

Mitti man se hai hatt rahi,
Dekho koon ferta hai paani mere gunahon pr.


© Viney Pushkarna

pandit@writeme.com

www.fb.com/writerpandit
Tags