Type Here to Get Search Results !

Aisa Kion Hota Hai?

Hey yaaro main mere chand alfaz bolta hoon,
Zara dena dekhayan k laakhon raaz kholta hoon.
Meetha bhi ban zehar kaat ta hai dooron ko,
Us jhoothi mithaas ki main har ek saans kholta hoon.
Na jane kion koi apna palken aansuon me bhigota hai,
Jara batana yaaro, aakhir aisa kion hota hai?

Kudrat bna choton ko, bhoolne ko kehte hain,
Khudi de zakham, Malham gholne ko kehte hain.
Kehte hai raza khuda ki, jo zindgi me paya,
To kion khud hi diye payar ko bhoolne ko kehte hain?
Kya jo ho labon se chup, vo dil se nahi rota hai,
Jara batana yaaro, aakhir aisa kion hota hai?

Bachpan me sikhate hain, sach bolna bachon ko,
Kehte hain khuda, krte payar hain sacchon ko.
Batate hain payar khuda ki amanat hai,
Fir khud hi kion bhool jate hain bol vo acchon ko?
Khud hi kahe bolon se kion insaan alag hota hai,
Jara batana yaaro, aakhir aisa kion hota hai?

Main Pandit nahi krta abhimaan, khud ki hasti par,
Nahi milta sacha payar ehsaano ki basti par.
Jis din apno ko hoga ehsaas jo sach main kehta hoon,
Ayegi us din Jaan foolon,ki har ek patti pr.
Na jane kion murjaye bina ehsaash na khide ka hota hai,
Jara batana yaaro, aakhir aisa kion hota hai?

Main nazeez nimana, kisi pr ilzaam nahi lagata,
Labon pr hai muskaan pr dil sath nahi nibhata.
Kiye pandit lakhon yatan, magr dil hai ghabrata,
Kehta hai kro intezar vo dekho zamana saath hai aata.
Na jane zamana andhvishvaas kion failata hai,
Jara batana yaaro, aakhir aisa kion hota hai?

Hai ye din aise na hasta hoon na rota hoon,
Jisse hai payar unhi ki yaadon me khota hoon.
Hai kadar unke bhi, kiye us vichar ki,
Tabhi to yaadon ke beez ko aansuon se bota hoon.
Kya kron na koi javab aakhir aansu jo lauta hai,
Jara batana yaaro, aakhir aisa kion hota hai?

Kiya hai vaada to Pandit  har haal me nibhayega,
Hai yebhi sach bin jaan kadam dhagmgayega.
Magr jo kiya hai vada poora krke dikhayega,
Bin tumare is jeevan me koi aur na ayega.
Jo karte hain payar, ghar valon k vishvas se rona hota hai,
Jara batana yaaro, aakhir aisa kion hota hai?

Kiya vishvaas pr kya mila haath failane me,
Apne hi dete hai dokha fool sambhal pane me.
Hai khush vo sada khush rahen khuda,
Jo dikhana chahte hain jotha rutba zamane me.
Humne jo khoya hai, zamana kahini dil ye rota hai,
Jara batana yaaro, aakhir aisa kion hota hai?

Sach kehte the yaar nahi milta vishvaas sir jukane se,
Apne hi dete hain kaat, kya darna zamane se.
Humne samajh farz tha jo auda unhen dia,
Unhone pal nahi lagaya bna laash girane me.
Fir kehta hai vo hi hota jo lekhon me likha hota hai,
Jara batana yaaro aakhir aaisa kion hota hai?



© Viney Pushkarna

pandit@writeme.com

www.fb.com/writerpandit
Tags