Type Here to Get Search Results !

Haq Nahi

Zindgi hai payari magr payar krne ka hak nahi,
meetha hai sahara, pr sahara dene ka hak nahi.
yo to Pandit likhta hai sawal laakhon,
magr nahi milte javab to poochne ka hak nahi.

radha krishan ko poojte hain magr apnane ka hak nahi,
kehte hain kiye vade nibhao, magr vade krne ka hak nahi.
behti huai aankhen aksar bata jati hai sab kuch,
Magr is zamane me na hai kadar to batane ka hak nahi.

Mehakte phoolon me aashiana bnane ka hak nahi,
Andhvishvason ki badbo ko mitane ka hak nahi.
Na jane kitni banai baaten insaano ne,
Us khuda ki di amanata ko apna kehlane ka hak nahi.

Labon se nikali awaj sunane ka hak nahi,
Jo uthao awaj to jahan raushnane ka hak nahi.
Jab apne hi ho jate hain apno ki khushion ke khilaf,
Tab is jahan me kisi ko apna bulane ka hak nahi.

Pandit bitaye jaan sang vo pal bulane ka hak nahi,
Is duniya me kisi ko apna bnane ka hak nahi.
Hum parivaron ki khushi ke liye sab krte hain,
Magr matlabi dunia me kisi ko smjhane ka hak nahi.

Røhìñí se liye shabd gehrane ka hak nahi,
Mile jo yaar anmulle to yaari nibhane ka hak nahi.
Pandit to likhta aaya hai zazbaat in lafzon me,
Magr na jane kion inhen apna kehlane ka hak nahi.



© Viney Pushkarna

pandit@writeme.com

www.fb.com/writerpandit
Tags