Type Here to Get Search Results !

Ek arse se Dabe Ashq

Ek arse se dabe ashq aaj aankhon ko satate hain,
Pal vo mefooz kiye aaj bhi bahut yaad aate hain.
Ro dete hain hum aksar bina neer bahahye,
Kion k apno se kiye hr pal vo vaade yaad aate hain.

Saalon se bhara prem jab moh pr aaia tha,
khuda janta hai kis kadar dil ye ghabraia tha.
Tha dard aur dar hr azeez ko khone ka,
Hume hr sapna kuch mazboor sa aaia tha.
Aaj bhi vo sapne bann hahikat aankhen dubate hain.
Ek arse se dabe ashq aaj aankhon ko state hain.

Ek sma tha jab kisi ki khushi ko kadam thamaye the,
Yaad hai apni hr aason ko kaise kafan pehnaye the.
Nahi bhoole kabhi koi sama jab khudi ko khud tale lagaye the,
Door ho gye the zindgi se jo vo saath chal na paye the.
Kabhi kabhi chand lafz aansu ban kr beh jate hain,
Ek arse se dabe ashq aaj aankhon ko state hain.

Shiva ki jo hue reham jo kadam mile chalne ko,
Hum chal pade samaj ka nazaria badalne ko.
Na bhaage Na chupaia, tha socha sabko paas krne ko,
Shayad tab waqt nahi tha sahi theharne ko.
yehi thehraav shayad hume jala jate hain,
Ek arse se dabe ashq aaj aankhon ko state hain.

Kuch alfaaz door kr gaye sachai aur sapno ko,
Shayad samajh nahi paaye apne apnp ko.
Pandit bhool gya apni pehchaan samjhane apno ko,
Pr fir bhi samet nahi paya girte batno ko.
Mehaz kisi ki khushi ko ye lafaz ruk jate hain,
Ek arse se dabe ashq aaj aankhon ko state hain.

Shiva roop bnaya khud ko, tha adhi shakti sa adhikaar dia,
Humne zism se rooh tak khud ko baanta aur ardhang ka naam dia.
Aisa bnaya rishta, na aaia koi aur, lagaon yatan kai baar kia,
Unki khushi ko humne thaana aur apna sab kuch vaar dia.
Kai baar chand faisle hi zindgi ka maksad bnate hain.
Ek arse se dabe ashq aaj aankhon ko state hain.

Kuch payar payar chillane wale apni aukaad dikhate hain,
Na jane kion kabhi usi payar ko mitane chale jate hain.
Jo samjhaye usi ko gunaahgaar thehrate hain,
Khudi bula kr na jane kya kya aujaar chalate hain.
Logon ki dekh joothe payar bari rahe lab sookh jate hain,
Ek arse se dabe ashq aaj aankhon ko state hain.

Shod deta hai pandit hr kalam aur kinara,
Doob chala jata hai jaise kashti ka sahara.
Socha tha k shayad nahi likh payenge kabhi dobara,
pr zamane ki choti sooch ne hume vapis vahin pukara.
Jab koi kehta hai use bura to dost shoot jate hain,
Ek arse se dabe ashq aaj aankhon ko state hain.

Ek din hr masle ka hal jo humne pa lia,
Suna tha vo kahin door gye humne musibat se une bacha lia.
Khush itna the ki khud ko gehraion me shupane ka irada bna lia,
Chand hi dino me mann bhagva bhagva kra lia.
Ye is liye k kai baar haunsle bikhar jate hain.
Ek arse se dabe ashq aaj aankhon ko state hain.

Na jane kya kahen us insaan ko jo dard se pehchaan kra gaya,
Shayad vohi tha ek jo ek behan se hume mila gaya.
Hmare dard ko jaan koi anjaan humse itna gehra rishta bna gaya,
K girte girte ko thma haath gumnami se bacha gaya.
Aise hi chand rishte gehre khoon se bhi ban jate hain.
Ek arse se dabe ashq aaj aankhon ko state hain.

jab tha nahi hume yakeen us khuda pr b kisi raah ka,
tab Jeet ka bulava hume sote sote jaga gaya.
Shayad shod chuke the ummeed hum kisi ki khushi ko,
Magar kisi ki zazba hume kiye vaade yaad dila gaya.
Aaj bhi hum saath jeene ki kasam bhool nahi pate hain.
Ek arse se dabe ashq aaj aankhon ko state hain.

Shiva hai arz ek akhri tuzse ye k is baar koi mazak na krna,
Jo dikhaya hai dobara sapna ise fanaah na krna.
Hum to toote the pr ab sab tabaah na krna,
Jeet jaise mile hain rishte ab raakh na krna.
Aaj hum gir chukat pr fir dool ragadte hain.
Kaise smjhaen hum apno ko hum kitna payar krte hain.

Tote hai kai baar is baar himaat nahi tootne ki, Abki baar toote to shayad ek neech kaam kr baithenge, hum to chale jayenge mitti ki god me, Pr shayad fir b apne hi aansu bahayenge.



© Viney Pushkarna

pandit@writeme.com

www.fb.com/writerpandit
Tags