Type Here to Get Search Results !

Behan Ki Shadi

Ek din kisi ne bola tere paas moti nahi hai,
Jis karan teri aankh kabhi roti nahi hai.
Nahi hai tujhe un rahoon ka ehsaas,
Nahi hota pata jinke paas hoti nahi hai.

Pandit sach maan abhimaan se door ho gaya,
nahi pata tha kaise kuch palon me majhboor ho gaya.
Pal me ek ktra ban anshu aankh se beh gaya,
Shayri likhi to log bole, ashiqi me choor ho gaya.

Aaj apko ek aham rishte se milvata hoon,
Mehbooba nahi pr khaas se pehchaan krata hoon.
Usi k liye likhi hai chand satren dil aur ehsaas se,
Vo ma jaise anmool jise main behan bulata hoon.

Yoon sunsaan zindgi me ehsaas bhar diye,
Mujh bhanjar makan me jazbaat bhar diye.
Mushkilon se ladna aur haunsale khaas hai diye,
Tune is bejaan me sitare khaas jadd diye.

us khuda ne meri zindagi me moti nayab dar diye...

Teri khushiyon ko chahoon main khuda adaab kr diye,
Jitna mila vo to lauta nahi skta, jo paas aaj dar diye.
Ek din tu bhi pari se maha rani ho jayegi jaldi hi,
Bhool na jaye hume kabhi is liye ye fariyaad kr diye.

us khuda ne meri zindagi me moti nayab dar diye....

Teri doli uthi to aanshu shayad gir jaayen,
Pr ye aansu teri khushiyon me khushi ke hain na dar jayen.
Tu jane hum tujhe ek naye jeevan me dekhna chahen,
jahan ho hr khushi aur sath bhagwaan ke diye.

us khuda ne meri zindagi me moti nayab dar diye....

kuch mahino me ek moti nanha jiska ehsas hoga,
ye moti khaas muskaan jiska naam yaad hoga.
Jo zindagi ki sab khushiya le kr aayegai,
Bhol jaoge sab gum jo zindagi ke kanton se mile.

us khuda ne meri zindagi me moti nayab dar diye....

Mujhe intzaar hai us pal ka jab rishta bada aayega,
Jisko sansaar sir jukata hai, mera bhi juk jayega.
Ek khaas ban apna, Hamara jiju kehlayega,
Aise rishton ke dhagon se saath humne silye.

us khuda ne meri zindagi me moti nayab dar diye.....

Yahan pr main kuch satren nai likhna chahunga,
In satron me kuch khaas aur likhna chahunga.
Kaise anmol kon anmol ye main samjhaonga,
Do satron ki naav aaj ehsaason me bahaunga.

Shama karna agr main koi vaada poora na kr paiya to,
Yaad dila dena agar kahin khuch bhulaiaya ho.
Zindgi me eh chaah abhi hai tumhen khush dekhne ki,
Tum bhi yaad rakhna agr ab kabhi rulaiya to.

Mujhe yaad hai vo pal jab zindagi shaam ban gayee thi,
Mujhe jab apni hi talaash ho rahi thi.
Bharosa uth gaya tha ek varg se dikhava bs zazbaton ka,
Aaj barosha hai nahi baat kitabon ki.

13 chal raha hai mujhe 14 me muskaan chahiye,
abhi ho jao shuru, mujhe khushiyon ki pehchaan chahiye.
Mai laga hoon masroof hoon apne kiye vaadon me,
Mujhe samay aur apno ka saath chahiye.

Kahin zindagi ki bheed me mujhe na bhula dena,
Mujhe isi liye pehchaan muskaan chahiye.
Bas mujhe meri behan ke jivan me yehi shaan chahiye.
.



© Viney Pushkarna
pandit@writeme.com
www.fb.com/writerpandit